tanhaiyon ke dasht mein akasr mila mujhe

tanhaiyon ke dasht mein akasr mila mujhe
wo shakhs jis ne kar diya mujh se juda mujhe

waraftagi meri hai ki hai intiha-e-shauq
us ki gali ko le gaya har rasta mujhe

jaise ho koi chehra naya us ke ru-ba-ru
yun dekhta raha mera har aashna mujhe

harf-e-ghalat samajh ke jo mujh ko mita gaya
us jaisa us ke baad na koi laga mujhe

pahle hi mujh pe kam nahin teri inayaten
dam lene de ai gardish-e-dauran zara mujhe

mushkil mujhe dubna kinare pe bhi na tha
nahaq bhanwar mein laya mera nakhuda mujhe

ye zindagi ki maut bhi hai jis pe nauha-khwan
kis jurm ki na jaane mili hai saza mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close