tariq-e-ishq mein dekha hai kya kahen kyun-kar hamari aankh khuli hai maqam-e-hairat mein agar khalal hai to zahid mere dimagh mein hai hazar shukr nahin hai futur niyyat mein buland o past ki us ke kuchh intiha hi nahin ajib chiz hai insan bhi haqiqat mein ye bazm-e-ghair hai 'kaifi' kidhar gae hain hawas kahan tum aa gae kya aa gai tabiat mein