tark-e-ulfat to ek bahana tha wo gaya khair us ko jaana tha hum bhi raste mein thak gae the bahut us ko bhi sath kab nibhana tha rukh pe taza gulab kya khilte zard patton ka wo zamana tha nam likkha tha jo hatheli par kitna mushkil use mitana tha tum ne shoala bana diya mujh ko kya mera zarf aazmana tha dil ke lutne pe shor kya karna kaun sa qimti khazana tha