tasawwur kar-farma tha ki lazzat thi kahani ki isi taswir ne aankhon pe jaise hukmarani ki meri parwaz ka manzar abhi tiron se chhalni hai lahu mein tar-ba-tar hai dastan naql-e-makani ki labon par barf jam jae to istifsar kya mani ki shor-o-ghul faqat tamhid hai shola-bayani ki qadam rakhte hi jaise khul gaya daldal mein darwaza ajab karigari dekhi yahan mitti mein pani ki dikhai rah sahil ki unhen pur-pech maujon ne usi tufan ne kashti ke haq mein baadbani ki bahut zarkhez mitti hai 'nizam' apne badan mein bhi hawas ne phul mahkae lahu ne baghbani ki