tasawwur se kisi ke maine ki hai guftugu barson

tasawwur se kisi ke main ne ki hai guftugu barson
rahi hai ek taswir-e-khyali ru-ba-ru barson

hua mehman aa kar raat bhar wo shama-ru barson
raha raushan mere ghar ka charagh-e-arzu barson

barabar jaan ke rakkha hai us ko marte marte tak
hamari qabr par roya karegi aarzu barson

chaman mein ja ke bhule se main khasta-dil karaha tha
kiya ki gul se bulbul shikwa-e-dard-e-gulu barson

agar main khak bhi hunga to 'atish' gard-baad-asa
rakhegi mujh ko sar-gashta kisi ki justuju barson


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close