taza hai us ki mahak raat ki rani ki tarah kisi bichhde hue lamhe ki nishani ki tarah jitna dekho use thakti nahin aankhen warna khatm ho jata hai har husn kahani ki tarah reg-e-sahra ka ajab rang hawaon ne kiya naqsh sa khinch gaya dariya ki rawani ki tarah yun guzarta hai wo katra ke nawah-e-dil se jaise ye khak ka khitta bhi ho pani ki tarah mujh se kya kuchh na saba kah ke gai hai ai 'zeb' chand hi lafzon mein paigham-e-zabani ki tarah