tegh-e-abru ka jo qatil hua wo shahidon mein be-adil hua chashma-e-ashk chashm-e-pur-nam tha khuld mein jo ki salsabil hua aabru di hai inkisari ne khaksari se main jalil hua khud-faristanda tha farastada wahi la kar wo jibrail hua hun wo aasi ki shola-e-dozakh nar hi gulshan-e-khalil hua juz gham-e-yar dasht-e-ghurbat mein kaun aisa tha jo kafil hua ab khuda hi se lau lagaunga de ke dil but ko main zalil hua shab-e-furqat jo khat likha main ne zulf-e-jaanan sa wo tawil hua ai 'jamila' ye dil hai dushman-e-jaan marg-e-ashiq ka jo dalil hua