tera hi nishan-e-pa raha hun main ye pahad jo utha raha hun main ek umr ki munafarat ke baad ab tujhe samajh mein aa raha hun main to udhar se aa jidhar ruke hain sab dusri taraf se aa raha hun main ek pal kabhi to tham mere liye sari umr daudta raha hun main meri na-rasaiyon ki had hai ye apne samne se aa raha hun main