tera karam ki main jab mat tak pahunch jata to koi hath mere hath tak pahunch jata main us ki bazm mein chup-chap hi raha karta magar wo phir bhi meri baat tak pahunch jata main bhaw-taw agar karta to wo khwab-farosh qayas hai meri auqat tak pahunch jata agar na milta mujhe sham mah-e-awara yaqin mano main ghar raat tak pahunch jata main apne bhai ko pardes kyun bulata 'aqil' wo is tarah mere haalat tak pahunch jata