tera qurb tha ki firaq tha wahi teri jalwagari rahi ki jo raushni tere jism ki thi mere badan mein bhari rahi tere shahr mein main chala tha jab to koi bhi sath na tha mere to main kis se mahw-e-kalam tha to ye kis ki ham-safari rahi mujhe apne aap pe man tha ki na jab talak tera dhyan tha tu misal thi meri aagahi tu kamal-e-be-khabari rahi mere aashna bhi ajib the na rafiq the na raqib the mujhe jaan se dard aziz tha unhen fikr-e-chaaragari rahi main ye jaanta tha mera hunar hai shikast-o-rekht se mo'tabar jahan log sang-ba-dast the wahin meri shishagari rahi jahan nasehon ka hujum tha wahin aashiqon ki bhi dhum thi jahan bakhiya-gar the gali gali wahin rasm-e-jama-dari rahi tere pas aa ke bhi jaane kyun meri tishnagi mein hiras tha ba-misal-e-chashm-e-ghazal jo lab-e-abju bhi dari rahi jo hawas farosh the shahr ke sabhi mal bech ke ja chuke magar ek jins-e-wafa meri sar-e-rah dhari ki dhari rahi mere naqidon ne faraaz jab mera harf harf parakh liya to kaha ki ahd-e-riya mein bhi jo baat khari thi khari rahi