tera visal hai behtar ki tera kho jaana na jagna hi mayassar mujhe na so jaana ye sab fareb hai main kya hun meri chahat kya jo ho sake to meri tarah tu bhi ho jaana hansi mein zakhm chhupane ka fan bhi zinda hai isi khayal se sikha na main ne ro jaana udas shahr mein zinda-dili ki qimat kya baja hai meri hansi ka ghubar ho jaana hasin tujh se ziyaada bhi hain zamane mein bura hai aankh ka paband-e-rang ho jaana