tere aane ka ehtimal raha marte marte yahi khayal raha gham tera dil se koi nikle hai aah har-chand main nikal raha hijr ke hath se hain sab rote yan hamesha kise visal raha shama san jalte hilte kati umr jab talak sar raha wabaal raha mil gae khak mein hi tifl-e-sarishk main to aaankhon mein garche pal raha samajhiye is qadar na kije ghurur koi bhi husn la-zawal raha tere dar se koi bhi talta hun mujh ko har-chand tu to tal raha dil na sambhla agarche main to use apne maqdur tak sambhaal raha phir na kahna 'asar' na kuchh sunna koi din gar yunhi jo haal raha