tere aasman ki zamin ho gaya hun hua hun to apne tain ho gaya hun mili hai jagah dil mein thodi si us ke samajh lo ki gosha-nashin ho gaya hun yahan par main hona nahin chahta tha magar hote hote yahin ho gaya hun tere panw padne se inkar kar dun main itna to khud-sar nahin ho gaya hun jahan mujh ko hone se roka tha us ne nahin baz aaya wahin ho gaya hun makan jis ka naqsha abhi ban raha hai main filhaal us ka makin ho gaya hun tawajjoh ka talib hun is tarah se bhi agar aap ka nukta-chin ho gaya hun budhape se agli ye manzil hai koi jawan ho gaya hun hasin ho gaya hun ise bhi 'zafar' meri himmat hi samjho kahin ho na paya kahin ho gaya hun