tere baghair gul-o-nastaran pe kya guzri na puchh ab ke bahaar-e-chaman pe kya guzri maal-e-jurat-e-mansur kuchh sahi lekin sawal ye hai ki dar-o-rasan pe kya guzri hamin to hain ki jo barq-o-sharar se khele hain hamin se puchh rahe ho chaman pe kya guzri qafas mein aaj ye kaise charagh raushan hain ilahi khair na jaane chaman pe kya guzri pahunch ke manzil-e-maqsad pe ye bhi sochenge ki shab-rawi mein dil-e-rahzan pe kya guzri mujhe shikast-e-nasheman ka gham nahin lekin ye sochta hun ki ahl-e-chaman pe kya guzri taraqqiyan to zamane ne kin bahut 'arshad' magar batao to arbab-e-fan pe kya guzri