tere baghair kahan ki ghazal-sarai hai

tere baghair kahan ki ghazal-sarai hai
sada se pahle kabhi bazgasht aai hai

tere jamal ki tajsim sahl kaam nahin
ye moajiza bhi mere sher ki safai hai

zamin ke hijr mein rahna mujhe qubul nahin
falak se aage bhi yun to meri rasai hai

main apne aap ko tartib de raha hun abhi
mera maqam wahan hai jahan ikai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close