tere dayar mein koi gham-ashna to nahin magar wahan ke siwa aur rasta to nahin simat ke aa gai duniya qarib-e-mai-khana koi batao yahi khana-e-khuda to nahin labon par aaj tabassum ki mauj machli hai koi mujhe kisi goshe se dekhta to nahin bana len rah isi khar-zar se ho kar junun-e-shauq ka ye faisla bura to nahin sabab ho kuchh bhi tere infial ka lekin meri shikast se pahle kabhi hua to nahin na reg-e-garm na kante na rahzan na ghanim ye rasta kahin ghairon ka rasta to nahin dayar-e-sajda mein taqlid ka riwaj bhi hai jahan jhuki hai jabin un ka naqsh-e-pa to nahin khayal-e-sahil o fikr-e-tabah-kari-e-mauj ye sab hai phir bhi tamanna-e-nakhuda to nahin