tere dil ke raste mein mera ghar kahin nahin tha

tere dil ke raste mein mera ghar kahin nahin tha
jo tujhe aziz hota wo hunar kahin nahin tha

tujhe dhundne nikalte kisi roz pa hi lete
magar in hatheliyon mein wo safar kahin nahin tha

yun to waqt hai muqarrar kisi kaam ka magar kyun
meri ruh shad karta wo gajar kahin nahin tha

na hi dil-nawaz adaen na hi shauq-e-jaan-sozi
mere dil ka ye musafir kahin dar-ba-dar nahin tha

main hun khush-guman warna mujhe sochna tha lazim
mere jaane se ujadta wo shahar kahin nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close