tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae teri rah mein karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gae teri kaj-adai se haar ke shab-e-intizar chali gai mere zabt-e-haal se ruth kar mere gham-gusar chale gae na sawal-e-wasl na arz-e-gham na hikayaten na shikayaten tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi ikhtiyar chale gae ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gai yahi dagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yar chale gae na raha junun-e-rukh-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahgar chale gae