tere har ek sitam ka hisab utrega khuda ka tujh pe sitamgar azab utrega bahut ghurur hai tujh ko abhi jawani par kabhi to tera ye rang-o-shabab utrega sitam hadon se badhega to aasman se koi sitamgaron ko wo dene jawab utrega haqir mujh ko samajhta hai tu are nadan main than lun to abhi aaftab utrega badhega zulm hadon se jab is zamane mein yaqin mano koi inqalab utrega lagegi aag chaman mein 'qamar' to hoga dukh dhuan uthega to aankhon mein aab utrega