tere iltifat ki baat thi teri be-rukhi ke gile na the tujhe shayad us ki khabar to ho ki hamare hont sile na the kisi ahl-e-dard se pochhiye zara is chaman ka moamla wo chaman ki fasl-e-bahaar mein bhi jahan pe phul khile na the ye rah-e-talab ki masafaten kahin khar hai kahin dar hai sar-e-ku-e-yar khade the yun ki qadam hamare hile na the bhala arz-e-gham se guzar ke bhi kabhi tum se koi gila kiya ye junun-e-ishq ke tazkire to meri wafa ke sile na the jo adu ko bazm hui to kya wo kuchh is tarah hain gurez-pa kisi rah mein kisi mod par kabhi jaise hum se mile na the