tere jab rang rangte hain to phir hum raqs karte hain

tere jab rang rangte hain to phir hum raqs karte hain
mujassam tujh mein dhalte hain to phir hum raqs karte hain

chhana chhan-chhan chhana chhan-chhan ye ghunghru se jo man aangan
teri yaadon ke bajte hain to phir hum raqs karte hain

aziz-e-jaan tere gham mein sitare jo shab-e-hijran
sar-e-mizhgan chamakte hain to phir hum raqs karte hain

kisi dhalti hui shab mein junun wahshat diya aur main
badan se jab nikalte hain to phir hum raqs karte hain

bahut chup-chap sahte hain aziyyat hum judai ki
magar had se guzarte hain to phir hum raqs karte hain

mohabbat ke qabilon se nikal kar ye junun-zade
khirad se jab ulajhte hain to phir hum raqs karte hain

nigahen kab uthate hain teri mahfil mein hum lekin
jo mahfil se nikalte hain to phir hum raqs karte hain

ghubar-e-rah ban kar jo tere diwane hum pagal
tujhe chhu kar guzarte hain to phir hum raqs karte hain

sar-e-dasht-e-talab hasrat teri aur bebasi meri
kabhi baham jo milte hain to phir hum raqs karte hain

ye bulle-shah batate hain na mane yar jab 'jina'
tabhi ghunghru pahante hain to phir hum raqs karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close