tere karam ka mere dasht pe jo saya hua

tere karam ka mere dasht pe jo saya hua
mujhe laga hi nahin main bhi hun sataya hua

wo tajrabaat ki had se nikal gaya aage
wo ek shakhs ki tha mera aazmaya hua

kisi ke dast-e-hinai ka lams raushan tha
koi charagh na tha hath mein chhupaya hua

hamara nam nahin hai hamara zikr nahin
magar yahan se koi lafz hai mitaya hua

main kaise us se alag ho ke dekh sakta hun
kisi ka rang rag-o-pai mein hai samaya hua

wo aafiyat hai jahan ji rahe hain barson se
isi gali mein hai pauda mera lagaya hua

hawa chali to safar sahl ho gaya 'athar'
safina tha kisi tufan se dagmagaya hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close