tere khayal ka kuchh bhi pata nahin padta yahan to chaaron taraf daera nahin padta hum ehtiyat se khwabon ko mar dete agar hamari aankh mein ye aabla nahin padta ajib rah padi hai ki is ke aage ab kisi bhi samt koi rasta nahin padta hamare khwab ki tabir ho gai hoti kisi mein aur koi sochna nahin padta wo rah-e-ishq mein dakhil nahin hue honge jo bolte hain wahan hadisa nahin padta girah to roz hi pad jati hai khayalon mein mere mizaj ka par zawiya nahin padta tamam umr tumhin tum likhe gae hote hamari soch mein gar hashiya nahin padta