tere KHayal ke aaine mein utar rahe hain

tere khayal ke aaine mein utar rahe hain
tujhe khabar hai naya rang tujh mein bhar rahe hain

simat rahe hain kabhi apne hosh ke andar
gubar-e-wahm ki surat kabhi bikhar rahe hain

ye haal hai ki nahin kuchh bhi hai khabar apni
magar ye zoam ki tazin-e-zat kar rahe hain

na jal ke rakh hue hain na aag bhadki hai
na puchh kaise marahil se hum guzar rahe hain

khule hain raaz-e-nihan raat dil pe kuchh aise
ki bolne mein bhi ab ehtiyat kar rahe hain

hawa mein zahr ki yun ho gai hai aamezish
ki sans lete hue bhi hawa mein dar rahe hain

ghalat ki tujh ko khayalon mein bandh rakkha hai
ye baat sach hai ki hum tujh se be-khabar rahe hain

ye intizar abhi khatm hone wala nahin
khabar kisi ne ye di hai ki wo sanwar rahe hain

qubul apni dua bhi nahin hui 'yawar'
yahi nahin mere nale bhi be-asar rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close