tere khayal se yun sajai tamam raat ek but ko dekhne mein bitai tamam raat wo ajnabi tha subh ye malum ho gaya taswir jis ki hum ne banai tamam raat jaane main kis qafas ke khayalon mein qaid tha diwar apne ghar ki jalai tamam raat zinda rahega josh gulabon mein is liye ek dastan-e-shama sunai tamam raat hum muskura ke sab se sawere mile magar sine mein hum ne kaise chhupai tamam raat tere khayal-o-khwab mein aate magar kabhi deti nahin hai hum ko rihai tamam raat sannata is qadar tha ki har shakh har kali jhuk jhuk ke mangti thi duhai tamam raat 'rasikh' hawa ne shakh se patte gira diye aur yaad sab kahani dilai tamam raat