tere lahje ka teri baat ka aaina hai mera har sher teri zat ka aaina hai teri zulfon ke machalte hue sawan ka saman mere mahke hue jazbaat ka aaina hai mere chehre ko zara ghaur se dekho to sahi mera chehra mere haalat ka aaina hai lahlahati hui bharpur jawani teri gungunati hui barsat ka aaina hai ai meri jaan-e-ghazal ai meri shahnaz-e-ghazal tera naghma mere jazbaat ka aaina hai