tere lahje mein ye jo shiddat hai ye koi an-kahi shikayat hai hijr ke dukh pe yar hairat kya mustaqil wasl bhi aziyyat hai tujh ko ab bhulne laga hun main ye shikayat nahin hai tohmat hai khushbuon se banaenge tum ko rang se to badi suhulat hai dekha jae to mar chuke hain hum sans lena to bas zarurat hai tu mera hai to mere dard samajh muskurana to meri aadat hai kya kiya dard ki dawa le li mere bimar tujh pe lanat hai main bas us waqt apne pas raha jab laga aap ki zarurat hai tere lab hae tere shirin lab bosa le lun agar ijazat hai