tere wade ko kabhi jhut nahin samjhunga aaj ki raat bhi darwaza khula rakkhunga dekhne ke liye ek chehra bahut hota hai aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhunga meri tanhai ki ruswai ki manzil aai wasl ke lamhe se main hijr ki shab badlunga sham hote hi khuli sadkon ki yaad aati hai sochta roz hun main ghar se nahin niklunga ta-ki mahfuz rahe mere qalam ki hurmat sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhunga