teri aankhen na rahin aaina-khana mere dost kitni tezi se badalta hai zamana mere dost jaane kis kaam mein masruf raha barson tak yaad aaya hi nahin tujh ko bhulana mere dost puchhna mat ki ye kya haal bana rakkha hai aaina ban ke mera dil na dukhana mere dost is mulaqat mein jo ghair-zaruri ho jae yaad rahta hai kise hath milana mere dost dekhna mujh ko magar meri pazirai ko apni aankhon mein sitare na sajaana mere dost ab wo titli hai na wo umr taaqub wali main na kahta tha bahut dur na jaana mare dost hijr taqdir mein likkha tha ki majburi thi chhod is baat se kya milna milana mere dost tu ne ehsan kiya apna bana kar mujh ko warna main kya tha haqiqat na fasana mere dost is kahani mein kise kaun kahan chhod gaya yaad aa jae to mujh ko bhi batana mere dost chhod aaya hun hawaon ki nigahbani mein wo samundar wo jazira wo khazana mere dost aise raston pe jo aapas mein kahin milte hon kyun na us mod se ho jaen rawana mere dost