teri ana sar-e-bazar chhin lete hain sinan se hum teri guftar chhin lete hain jo qaid karke pahnate hain bediyan hum ko hum un ke panw se raftar chhin lete hain ye moajiza hai hamara ki hum sar-e-maqtal hansi ke war se talwar chhin lete hain tu jaanta nahin hum lahja-e-khitabat se teri zaban sar-e-darbar chhin lete hain sipar banate hain nazuk gulu-e-khushk ko hum kaman-e-lab se hi hum dhaar chhin lete hain jahan mein aaj ye shewa hai kam-tarinon ka sharif logon ki dastar chhin lete hain ye ek talkh haqiqat hai daur-e-hazir ki khushi gharib ki zardar chhin lete hain