teri gali mein tamasha kiye zamana hua phir is ke baad na aana hua na jaana hua kuchh itna tut ke chaha tha mere dil ne use wo shakhs meri murawwat mein bewafa na hua hawa khafa thi magar itni sang-dil bhi na thi hamin ko shama jalane ka hausla na hua mere khulus ki saiqal-gari bhi haar gai wo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua main zahr pita raha zindagi ke hathon se ye aur baat hai mera badan hara na hua shuur chahiye tartib-e-khar-o-khas ke liye qafas ko tod ke rakkha to aashiyana hua hamare ganw ki mitti hi ret jaisi thi ye ek raat ka sailab to bahana hua kisi ke sath gain dil ki dhadkanen 'qaisar' phir is ke baad mohabbat ka hadisa na hua