teri har baat mohabbat mein gawara kar ke dil ke bazar mein baithe hain khasara kar ke ek chingari nazar aai thi basti mein use wo alag hat gaya aandhi ko ishaara kar ke aasmanon ki taraf phenk diya hai main ne chand mitti ke charaghon ko sitara kar ke main wo dariya hun ki har bund bhanwar hai jis ki tum ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke muntazir hun ki sitaron ki zara aankh lage chand ko chhat pur bula lunga ishaara kar ke