teri khushbu tera lahja main kahan se laun tu bata de tere jaisa mein kahan se laun chand ko gher ke rakhte hain sitare har shab phir bhala chand ko tanha main kahan se laun chashm-e-tar mein bhi rahe aur bharam bhi rakh le aisa thahra hua dariya main kahan se laun us ki khwahish hai talluq ka koi nam na ho aisa be-nam sa rishta main kahan se laun jazb kar le mujhe khud mein jo sama le mujh ko khushkiyon mein wo jazira main kahan se laun khinch lae jo gunahon ke samundar se mujhe ek nadamat ka wo qatra main kahan se laun