teri mahfil se jo uth jaenge mehr-o-wafa wale to puchhega tujhe phir kaun ai jaur-o-jafa wale nigah-e-yar itni si inayat hum pe ho jati ki duniya ye samajh leti ki hum bhi hain khuda wale hamari qadar kar pir-e-mughan ki waste jin ke liye phirte hain jam-e-arghawani mai-kada wale ye beda hai junun ka kab ruka baad-e-mukhalif se naya tufan laen dhund dhundh kar bala wale diye jalte na palkon par na bazm-e-arzu sajti bada ehsan dil par hai tera jud-o-sakha wale tujhe apnon ne chhoda aur ghairon ne hai apnaya mubarak ho tujhe naql-e-makani mustafa wale ghazal kahte na tujh par to bhala kis ko pata chalta ye chehra chaudhwin ka chand hai gesu ghata wale takhallus hai 'sahar' dil ki gali shahr-e-mohabbat hai chale aao bahut aasan se hain hum pata wale