teri mahfil se main kya jata hun

teri mahfil se main kya jata hun
dil ke malbe mein daba jata hun

main rafu-gar ke ishaare par hun
chaak-daman hun siya jata hun

dekh kar mujh ko yun nalan mat ho
tu kahe to main chala jata hun

tere kuche se guzar hota hai
aap hi aap ruka jata hun

jurm kya hai ye to malum nahin
pas-e-diwar chuna jata hun

bhik mangi hai mohabbat ki magar
apni nazron mein gira jata hun

ahd karta hun bhulane ka tujhe
phir teri baaton mein aa jata hun

main sukhan tera nahin hun phir bhi
tere sheron mein padha jata hun

aarzu chand sitaron ki hai
aasmanon mein uda jata hun

us ne sawan ki tamanna ki hai
apni aankhon se baha jata hun main

is qadar ras hai tanhai mujhe
apne sae se juda jata hun

log pagal to samajhte honge
main jo be-waqt hansa jata hun

wo kahin aur se deta hai sada
main kahin aur chala jata hun

de ke lalach tere khwabon ka main
apni aankhon ko sila jata hun

ghair phir ghair hain kya kije gila
dhoka apnon se hi kha jata hun

aag khud dil mein laga rakkhi hai
apne hathon hi jala jata hun

zinda rahne ki wajah sirf hai tu
tere wadon pe jiya jata hun

ek diwar uthane ke liye
ek diwar gira jata hun

toda jata hai mujhe roz 'fahim'
roz tamir kiya jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close