teri shikast ka elan to nahin karenge jo tera kaam hai darban to nahin karenge siyah-raat ke aangan mein kud kar hum log diye jalaenge nuqsan to nahin karenge main apni zat ki hairat-sara se guzra hun ye tajarbe mujhe hairan to nahin karenge ye thik hai ki zaruri hai kar-girya bhi magar ye hijr ke dauran to nahin karenge ye sochna tha tumhein daere banate hue ye pech tum ko pareshan to nahin karenge 'zahir' us ki ragon ko lahu pila kar hum zamin par koi ehsan to nahin karenge