teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin ruh-parwar ye jahan-e-guzaran hai ki nahin din ki zau-tabiyan tarik fazaen shab ki pichhli raaton ke dhundalke se ayan hai ki nahin nara-e-dar-o-rasan hadisa-e-kaun-o-makan khufta-jaanon ke liye khwab-e-giran hai ki nahin khud kham-o-pech tujhe rah ke batla denge teri thokar mein tera sud-o-ziyan hai ki nahin teri zulfen tera rukh teri jabin teri nazar ye chaman aaina-dida-waran hai ki nahin is nazar se wo mujhe dekhte rahte hain 'kalim' garm khun garm nafas garm-e-fughan hai ki nahin