teri ulfat mein na jaane kya se kya ho jaunga

teri ulfat mein na jaane kya se kya ho jaunga
tu ne gar chaha to ek din main khuda ho jaunga

qatl kar ke mat samajhna main fana ho jaunga
jal ke apni rakh se phir runuma ho jaunga

main kisi darwesh ke lab ki dua ho jaunga
be-sahaara zindagi ka aasra ho jaunga

raat-bhar baitha raha mein tham kar yaadon ka hath
dil ko khadsha tha ki main tujh se juda ho jaunga

samne thahra hun tere jaan le pahchan le
chal pada to badhte badhte fasla ho jaunga

waqt ke sahra mein tum paoge mere naqsh-e-pa
main azal se ta-abad ek silsila ho jaunga

main sama jaunga khushbu ki tarah har phul mein
patti patti ghuncha ghuncha runuma ho jaunga

rah ka patthar sahi gar tu tarashega mujhe
dekhte hi dekhte main dewta ho jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close