tez ehsas-e-khudi darkar hai zindagi ko zindagi darkar hai jo chadha jae khumistan-e-jahan han wahi lab-tishnagi darkar hai dewtaon ka khuda se hoga kaam aadmi ko aadmi darkar hai sau gulistan jis udasi par nisar mujh ko wo afsurdagi darkar hai shaeri hai sar-basar tahzib-e-qalb us ko gham shaistagi darkar hai shoala mein lata hai jo soz-o-gudaz wo khulus-e-baatni darkar hai khubi-e-lafz-o-bayan se kuchh siwa shaeri ko sahiri darkar hai qadir-e-mutlaq ko bhi insan ki sunte hain be-chaargi darkar hai aur honge talib-e-madh-e-jahan mujh ko bas teri khushi darkar hai aql mein yun to nahin koi kami ek zara diwangi darkar hai hosh walon ko bhi meri rae mein ek guna be-khudi darkar hai khatra-e-bisyar-dani ki qasam ilm mein bhi kuchh kami darkar hai dosto kafi nahin chashm-e-khirad ishq ko bhi raushni darkar hai meri ghazlon mein haqaeq hain faqat aap ko to shaeri darkar hai tere pas aaya hun kahne ek baat mujh ko teri dosti darkar hai main jafaon ka na karta yun gila aaj teri na-khushi darkar hai us ki zulf aarasta-pairasta ek zara si barhami darkar hai zinda-dil tha taza-dam tha hijr mein aaj mujh ko be-dili darkar hai halqa halqa gesu-e-shab rang-e-yar mujh ko teri abtari darkar hai aql ne kal mere kanon mein kaha mujh ko teri zindagi darkar hai tez-rau tahzib-e-alam ko 'firaq' ek zara aahistagi darkar hai