tha mera sab par bacha kuchh bhi nahin

tha mera sab par bacha kuchh bhi nahin
ab mera mujh mein raha kuchh bhi nahin

main bhala kyun kahta gar milti khushi
zindagi gham ke siwa kuchh bhi nahin

umr khidmat ko di aur is ke ewaz
ek hasti ne liya kuchh bhi nahin

yan zamir insan ka mar-khap chuka
aur kahte ho hua kuchh bhi nahin

us ke jaane par mujhe aisa laga
jaise mera ab raha kuchh bhi nahin

dekhiye majnun si haalat ho gai
aur kahte ho saha kuchh bhi nahin

zindagi ji kar bhi ek insan ko
kyun lage us ne jiya kuchh bhi nahin

aadmi se hoge tum insan kab
waqt hai ab bhi gaya kuchh bhi nahin

khatir-e-duniya nahin kya kuchh kiya
aur kahte ho kiya kuchh bhi nahin

aah hasrat karte hain insan gunah
hashr ki jaise saza kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close