thaharne ko hai basti ke dar-o-diwar par pani ki ab patthar mein dhalti ja rahi hai mauj-e-hairani khayal aata hai shahr-e-arzu ko chhod dene ka bahut dushwar ho jati hai jab bhi koi aasani yaqin aaya ki arzan hai mata-e-lutf duniya mein natija hai adu ki qadr karne ka pashemani musalsal badh raha hun jada-e-islam par ab tak magar khush aaega kis ko mera turr-e-musalmani wahi surat wahi atwar-e-nek-o-bad wahi lahja wo pal-bhar mein kahin se dhund laya hai mera sani mere sheron mein bahta hai samundar mere wirse ka ki main gulshan-taraaz-e-rang-e-sohban hun na khaqani judai ki kasak mit jaegi 'sajid' mere dil se agar pahchan le badh kar mujhe wo dilbar-e-jaani