thahraw aa gaya hai kuchh aisa zindagi mein ki bahte bahte jharna mil jae jun nadi mein puja hai us ne tum ko chaha na aashiqi mein ab lutf kya milega is dil ko bandagi mein dil hasraton ka jamghat phir kaisa suna-pan ye do chaar pal ki khushiyan aain thin zindagi mein dil chhu gaya ye un ka hona pada pasheman kaisa asar tha aakhir aankhon ki is nami mein chaho to yaad rakho chaho agar bhula do ehsas ek sa hai is dil ko be-khudi mein tanqid par hamari 'uzma' udas kyun hai tum mein jo naqs dhunde shayad wo the hamin mein