thahre jo kahin aankh tamasha nazar aae suraj mein dhuan chand mein sahra nazar aae raftar se tabinda umidon ke jharoke thahrun to har ek samt andhera nazar aae sanchon mein dhale qahqahe sochi hui baaten har shakhs ke kandhon pe janaza nazar aae har rahguzar rasta bhula hua baalak har hath mein mitti ka khilauna nazar aae khoi hain abhi main ke dhundlakon mein nigahen hat jae ye diwar to duniya nazar aae jis se bhi milen jhuk ke milen hans ke hon rukhsat akhlaq bhi is shahar mein pesha nazar aae