thak jata hun roz ke aane jaane mein mera bistar lagwa do maikhane mein us ke hath mein phul hai mat kahiye kahiye us ka hath hai phul ko phul banane mein main kab se mauqe ki taq mein hun us ko jaan-e-man kah dun jaane anjaane mein aankhon mein mat rok mujhe jaana hai udhar ye rasta khulta hai jis tah-khane mein lad na us ke husn ka itna bojh 'charagh' aa jaegi moch ghazal ke shane mein