thapkiyan de ke tere gham ko sulaya hum ne kya kahen kis tarah ye bojh uthaya hum ne sham padte hi diya kaun jalata hai yahan is haweli mein na insan koi paya hum ne yun to har zarre se puchha tere jaane ka sabab raaz gahra tha kisi ko na bataya hum ne wo ajab shakhs tha har dar pe jhukata tha jabin chah kar bhi to nahin us ko bhulaya hum ne