the sab ke hath mein khanjar sawal kya karta main be-gunahi ka apni malal kya karta usi ke ek ishaare pe qatl-e-am hua amir-e-shahr se main arz-e-haal kiya karta main qatilon ki nigahon se bach ke bhag aaya ki mere sath the mere ayal kya karta dharam ke nam par insaniyat ki nasl-kushi zamana aisi bhi qaem misal kya karta jale makan jale jism jal-bujha sab kuchh wo is se badh ke hamein paemal kya karta bate hue hain hami apne apne khanon mein hamara warna koi aisa haal kya karta