thodi si shohrat bhi mili hai thodi si badnami bhi meri sirat mein ai 'qaisar' khubi bhi hai khami bhi kitne aashiq sambhal gae hain mera fasana sun sun kar mere haq mein jaisi bhi ho kaam ki hai nakaami bhi mahfil mahfil zikr hamara soch samajh ke kar waiz apne mukhalif bhi hain kitne aur hain kitne hami bhi aisa to mumkin hi nahin hai chand mein koi dagh na ho jis mein hogi kuchh bhi khubi us mein hogi khami bhi mera mazhab ishq ka mazhab jis mein koi tafriq nahin mere halqe mein aate hain 'tulsi' bhi aur 'jami' bhi yun to sukun ke lamhe 'qaisar' hote hain anmol bahut lekin apne kaam aati hai dil ki be-arami bhi