tilism-e-nashsha-e-duniya bhi aaj khatm hua jo ho raha tha tamasha bhi aaj khatm hua mila jo us se to us ne bhi pher li nazren chalo ye aakhiri rishta bhi aaj khatm hua gira zamin pe sitara ye kis ke mizhgan se ye kis ke dil ka sahaara bhi aaj khatm hua mile jo barson ke pyase to aise ek hue ki ehtiyat ka pahra bhi aaj khatm hua jo rafta-rafta hui khatm waz-e-derina mohabbaton ka saliqa bhi aaj khatm hua tumhaari yaad se samjhauta kar liya main ne khayal-e-wada-e-farda bhi aaj khatm hua na jaane kaise tujhe apna man baitha tha meri nazar ka wo dhoka bhi aaj khatm hua tere taghaful-e-paiham ne kar diya mayus mera wo zauq-e-tamanna bhi aaj khatm hua wo dil bhi le gae pahlu se uth ke ai 'tabish' ye roz roz ka jhagda bhi aaj khatm hua