tira-bakhton ko kare hai nala-e-ghamgin kharab jis tarah ho ja saba se kakul-e-mushkin kharab jon nasim-e-subh ghunche gul ke sab barbaad de sard-mehri se buton ki hain dil-e-rangin kharab be-dimaghi mat kar ai zalim ki jun mauj aur habab dil mera kar de hai pal mein abru-e-pur-chin kharab jun jale hai shama ka musht-e-zar aur tasbih-e-ashk jis tarah sarkash ka hai duniya kharab aur din kharab tha bana 'uzlat' wo jab faulad-dil parwez se tab to teshe ne kiya yun khana-e-shirin kharab