tirgi ki shiddat ko subh ka sitara likh

tirgi ki shiddat ko subh ka sitara likh
phailne hi wala hai har taraf ujala likh

razm-e-gah-e-hasti mein yun bura na soch apna
dushmanon ke andar ke sulh jo ko achchha likh

naqsh-e-pa ke jangal mein kya shumar raston ka
hai juda zamane se lekin apna rasta likh

be-hisi ka ye jadu tut hi to jaega
is liye na qarye ko pattharon ka sahra likh

is nagar ke logon ko pahle bakhsh binai
aur ba'd mein khud ko is nagar ka isa likh

harf-e-zehn mein 'bedi' rang se tahi kab hain
sirf tera kaghaz hai jo abhi hai sada likh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close